web 2.0

The Magic of Habib Jalib

Haq baat pay kaoray aur zindaan
Baatil kay shikanjay main hay yeh jaan
Insaan hain k sehmay baithay hain
Khoon khar darinday hain rakhsaan 
Is zulm o sitam ko
lutfo karam
Is dukh ko dawa kia likhnaa
Kia likhna
Her sham yahan sham e veeran
Aasaib zada rastay galyan
Jis sheher ki dhun main niklay thay
Woo sheher dil e barbaad kahan
 Sehra ko chaman
Ban ko gulshan
Badal ko rida kia likhna
Kia likhna
Aey meray watan kay fankaro
Zulmat pay na apna fun waro
Yeh mahal saraoon kay basi
Qatil hain sabhi apnay yaro
Wirsay main hamain
yeh gham hay mila
Is gham ko naya kia likhna
Zulmat ko zia
Sarsar ko saba
Banday ko khuda kia likhna
Wo jo saye main her maslihat kay pa lay
Aisay dastoor ko
Subha e bay noor ko
Main nahin manta
Main nahin janta 
 

Tags:

resistance poetry, art and literature

Add comment